Posts

Showing posts from March, 2016

Logon ki Baten Chup kar Sunne Wala

Image
The Prophet (Sallallahu Alaihi Wasallam) said: “if somebody listens to the talk of some people who do not like him (to listen) or they run away from him, then molten lead will be poured into his ears on the Day of Resurrection.” [Sahih Bukhari :: Vol. 9 :: Book 87 :: Hadith 165] Urdu Translation: RasoolAllah Sallallahu Alaihi Wasallam ne Irshad Farmaya: “Jis ne logon ki Baat kaan laga kar suni aur wo log us (Aml) ko Na pasand karte hon ya us se Bhaagte hon to Qayamat ke din us ke Kanon mein Sisa Pighla kar dala jayega.” [Urdu Ref :: Sahih Bukhari :: Vol. 8 :: Hadith 7042]

Halal Kamon Mein Sab se Na Pasandidah Kaam

Image
The Messenger of ALLAH Sallallahu Alaihi Wasallam said: "The most hated of permissible things to ALLAH is divorce." [Sunan Ibn Majah :: Vol. 3 :: Book 10 :: Hadith 2018] Urdu Translation: RasoolAllah Sallallahu Alaihi Wasallam ne Irshad Farmaya: “ALLAH Subhanahu Wa Ta'ala ke Nazdeek Halal chizon mein sab se Zyadah Na Pasandidah cheez “Talaq” hai.” [Urdu Ref :: Sunan Ibn Majah :: Vol. 2 :: Hadith 175]

Gunahon ki Wajah se Rizq se Mahroomi

Image
It was narrated from Thawban (RadiyAllahu Anhu) that the Messenger of ALLAH (Sallallahu Alaihi Wasallam) said: ● “Nothing increases one’s life span except righteousness. ● And nothing repels the Divine decree except supplication, ● And a man may be deprived of provision by a sin that he commits.’” [Al-Mustadrak alaa al-Sahihain Al-Hakim :: 1814, Sunan Ibn Majah :: 4022] Urdu Translation: Hazrat Thawban RadiyAllahu Anhu se Riwayat hai ke Nabi Akram Sallallahu Alaihi Wasallam ne Irshad Farmaya: ● “Siwaye Dua ke Taqdeer ko koi cheez Talne wali nahi hai. ● Aur Siwaye Neki ke Umr ko koi cheez barhane wali nahi hai. ● Aur Insan Gunahon ki Nahusat se us Rizq se jo use Milne wala hai, Mahroom kar diya jata hai.” [Urdu Ref :: Sunan Ibn Majah :: Vol. 3 :: Hadith 903]

Waqfah Baraye Namaz

Image
●◗►"Masroof Zindagi mein Namaz padhna Dushwar Zaroor hai, Magar Zindagi ki Dushwariyan Namaz se hi door hoti hain."

Paaki ki Halat Mein Raat Basar Karen!

Image
Ibn 'Umar RadiyAllahu Anhu reported ALLAH's Messenger (Sallallahu Alaihi Wasallam) said: “Purify these Bodies (of yours), May ALLAH grant you purity, for indeed there is not a servant that spends the night in a state of purification except that an angel spends the night with him in his garment. He does not turn at anytime during the night except that the angel says: “Oh ALLAH forgive your servant for indeed he spent the night in a state of purity!” [Al-Mu'jam Al-Kabeer Al-Tabarani :: Hadith 13620] Urdu Translation: Nabi Akram Sallallahu Alaihi Wasallam ne Irshad Farmaya: “Apne in Jismon ko paak saaf rakho, ALLAH Ta’ala tumhen (nifaq se) Paak saaf rakhega, Bila shubah Jab bhi koi Bandah paaki ki Halat mein Raat guzarta hai to us ke Pahlu mein Aik Farishta bhi us ke sath Raat guzarta hai, aur Raat ki koi ghari Aisi nahi Guzarti jis mein wo Farishta ye dua na Mangta ho: “Ya ALLHA! Apne is bande ki Maghfirat Farma, Kyun ke ye Paaki ki Halat mein Raat basar kar r...

Rooh Parwaz Karte Waqt Aankhen Phati ki Phati kyun Reh Jati Hain?

Image
gasp emotico gasp emoticon ALLAH's Messenger (Sallallahu Alaihi Wasallam) as saying: “Did you not see when the man died and his eyes were fixedly open?” He (Abu Huraira) said: Yes. He (the Holy Prophet) said: “It is due to the fact that when (the soul leaves the body) his eyesight follows the soul.” [Sahih Muslim :: Book 4 :: Hadith 2005, 2171] ✦Urdu Translation: RasoolAllah Sallallah u Alaihi Wasallam ne Irshad Farmaya: “Kya tum nahi dekhte Jab Aadmi mar jata hai to us ki Aankhen khuli Rah jati hain!!!” Sahaba ne Arz kiya: kyun nahi ham Aisa hi dekhte hain. RasoolAllah Sallallahu Alaihi Wasallam ne Irshad Farmaya: “Is ki wajah ye hai ke us ki Nigah Rooh ke piche jati hai.” [Urdu Ref :: Sahih Muslim :: Vol. 2 :: Hadith 2132]

Azeem Tareen Khawind ki Azeem Tareen Ahliya!

Image
♥   Zojae Mutahrah Hazrat Khadija RadiyAllahu Anha ka Tazkerah farmate hue RasoolAllah Sallallahu Alaihi Wasallam ne Irshad Farmaya: ✔ Mujhe Khadija (R.A) se Acchi Biwi ALLAH ne Ata nahi Farmayi.   ✔ Wo us waqt mujh par Iman layen jab logon ne mera inkar kiya.   ✔ Unhon ne us waqt meri Tasdiq ki jab logon ne Mujhe Jhutlaya.   ✔ Unhon ne us waqt apni Doulat mujh par Nichawar farmayi Jab logon ne mujhe Mahroom rakha.   ✔ Un se ALLAH ne mujhe Aoulad ata farmayi Jab ke Dusri Azwaj se Aoulad ata na hui.   ♥   (Musnad Ahmad : 24864) ●◗► Hadise Baala mein aik taraf Hazrat Khadija (RadiyAllahu Anha) ka Tarze Aml Musalman Biwiyon ke liye Mash’ale raah hai ke wo kathin Halaat, Mushkilat aur maali tangi mein bhi khawind ki dast o bazu banen aur us ke sath wafadari aur Gham khuari ka Mu’amla karen to dusri Taraf RasoolAllah Sallallahu Alaihi Wasallam ke tarze Aml mein Musalman khawindon ke liye Hidayat hain ke wo Ahliya ki khubiyon, Qurbaniyon aur khidmaat ka kh...

Uphar Charhte Ya Niche Utarte Waqt

Image
Narrated Jabir bin `Abdullah RadiyAllahu Anhu: Whenever we went up a place we would say, "Allahu--Akbar (i.e. ALLAH is Greater)", and whenever we went down a place we would say, "Subhan ALLAH." [Sahih al-Bukhari :: Vol. 4 :: Book 52 :: Hadith 236, 2993] Urdu Translation: Hazrat Jabir bin Abdullah RadiyAllahu Anhuma farmate hain ke Jab ham (kisi bulandi par) Charhte to "Allahu Akbar" kehte aur jab (kisi Nashaib mein) utarte to "Subhan ALLAH" kehte the. [Urdu Ref :: Sahih Bukhari :: Vol. 4 :: Hadith 2993]

Thokar ya Takkar lage to “Bismillah” Kahen

Image
Abu al-Malih reported on the authority of a man: I was riding on a mount behind the prophet (May peace be upon him). It stumbled. Thereupon I said: May the devil perish! He (Sallallahu Alaihi Wasallam) said: do not say; may the devil perish! For you say that, he will swell so much so that he will be like a house, and say: by my power. But say: in the name of ALLAH; for when you say that, he will diminish so much so that he will be like a fly. [Sunan Abi Dawud :: Book 42 :: Hadith 4964] [Al-Mustadrak alaa al-Sahihain Al-Hakim : 7792] ✦Urdu Translation: Aik Sahabi RadiyAllahu Anhu Farmate hain ke Main Nabi Akram Sallallahu Alaihi Wasallam ke piche sawari par sawar tha, Aap Sallallahu Alaihi Wasallam ki sawari ko Achank thokar lagi to mere muh se nikla: “Shaitan barbad ho.” RasoolAllah Sallallahu Alaihi Wasallam ne Irshad Farmaya: “Shaitan barbad ho” na kaho, is se to Shaitan phool kar bara ho jata hai aur kahta hai: “Meri taqat o Quwwat ki wajah se Aisa hua.” Albatta (A...

Farq Talash Karen

Image
●◗► Gal Sarjane ke baad in khopriyon mein Farq karna Mushkil hai, Ab agar in ke Darmiyan chote bare hone ka koi Farq ho sakta hai to 'Iman', 'Taqwa' aur 'Aa’male Saliha' ki Bunyad par.

Aapas ki Larayi se Deen ka Safaya

Image
The Prophet (Sallallahu Alaihi Wasallam) said: "Shall I not inform you of something more excellent in degree than fasting, prayer and almsgiving (sadaqah)?" The people replied: Yes, Prophet of ALLAH! He (Sallallahu Alaihi Wasallam) said: "It is putting things right between people, spoiling them is the shaver (destructive)." [Sunan Abi Dawud :: Book 42 :: Hadith 4901, 4919] ✦ Urdu Translation: Nabi Akram Sallallahu Alaihi Wasallam ne Irshad Farmaya: “Kya tumhen Rozah, Namaz aur Sadaqah ke sawab se bhi Afzal Aml na Bataun?" Sahaba Karam ne Arz kiya: (Ya RasoolAllah Sallallahu Alaihi Wasallam) zaroor irshad Farmaye. RasoolAllah Sallallahu Alaihi Wasallam ne Farmaya: “Aapas mein Dushmani rakhne wale do Shakson ke darmiyan Sulah karwana (ye Rozah, Namaz aur Sadaqah ke sawab se bhi Afzal hai) Jab ke Aapas mein larayi lagwana Haliqah (yani deen ka bilkul safaya kar deta) hai.” [Urdu Ref :: Sunan Abu Dawood :: Vol. 3 :: Hadith 1487, 4921] ●◗► Ra...

Sab se Zyadah Taqatwar Dua

Image
●◗► Kisi bhi bare se bare Darwesh, Peer baba aur Murshid ki Dua se zyadah taqatwar, ba asar aur Jald qubool hone wali Dua, Walid aur Walidah ki Dua hai, lekin Aaj ham log Walidain ki khidmat, unhen khush Rakhne aur un se Duayen wusool karne ko Nazar andaz kar ke Dargahon, Mazaron aur Qabron pe Takre marte rahte hain.

Miyan Biwi ke Darmiyan Nachaqi Khatam Karwayen!

Image
ALLAH Subhanahu Wa Ta'ala Irshad Farmate Hain: ⇨ "Agar tumhen Miyan Biwi ke darmiyan phoot parne ka Andesha ho to (un ke darmiyan faisla karane ke liye) Aik Munsif Mard ke khandan mein se aur aik Munsif Aourat ke khandan mein se bhej do, Agar wo donon Islah karana chahenge to ALLAH donon ke darmiyan Ittifaq paida farma dega, Beshak ALLAH ko har baat ka Ilm aur har Baat ki khabar hai." (Al-Qur'an, Surah An-Nisa : 35) ◈➲ Munsif – Insaf karne wala. ◈➲ Ittifaq – Mail jol, Ittihad, Mohabbat dosti. ⇨ "If you fear a breach between them twain (the man and his wife), appoint (two) arbitrators, one from his family and the other from her's; if they both wish for peace, ALLAH will cause their reconciliation. Indeed ALLAH is Ever All-Knower, Well-Acquainted with all things." (Qur’an 4:35)