Aapas ki Larayi se Deen ka Safaya

The Prophet (Sallallahu Alaihi Wasallam) said: "Shall I not inform you of something more excellent in degree than fasting, prayer and almsgiving (sadaqah)?" The people replied: Yes, Prophet of ALLAH! He (Sallallahu Alaihi Wasallam) said: "It is putting things right between people, spoiling them is the shaver (destructive)."
[Sunan Abi Dawud :: Book 42 :: Hadith 4901, 4919]
✦ Urdu Translation: Nabi Akram Sallallahu Alaihi Wasallam ne Irshad Farmaya: “Kya tumhen Rozah, Namaz aur Sadaqah ke sawab se bhi Afzal Aml na Bataun?" Sahaba Karam ne Arz kiya: (Ya RasoolAllah Sallallahu Alaihi Wasallam) zaroor irshad Farmaye.
RasoolAllah Sallallahu Alaihi Wasallam ne Farmaya: “Aapas mein Dushmani rakhne wale do Shakson ke darmiyan Sulah karwana (ye Rozah, Namaz aur Sadaqah ke sawab se bhi Afzal hai) Jab ke Aapas mein larayi lagwana Haliqah (yani deen ka bilkul safaya kar deta) hai.”
[Urdu Ref :: Sunan Abu Dawood :: Vol. 3 :: Hadith 1487, 4921]
●◗► RasoolAllah Sallallahu Alaihi Wasallam ne Aapas ki larayi ko haliqah yani Munrhne wala qarar diya, Jis tarah Blade aur Ustare se sir ke baal Bilkul saaf ho jate hain, isi tarah Aapas ki larayi se Deen ka safaya ho jata hai, kyun ke jab do Aadmiyon ke dilon mein Nafraten aati hain to aik dusre ki Geebat, Badgumani, Badkhuahi, Sazishe Mansube, Aik dusre par ilzam tarashi, Bohtan bazi, aur Ta’an o Tashnee jaise khatarnaak Gunah khud ba khud shamile haal ho jate hain, inhi Gunahon se bachne ke liye ALLAH ke Rasool Sallallahu Alaihi Wasallam ne larayi jhagre ke bajaye Muaaf karne aur Dil saaf rakhne ka hukum diya.

Comments

Popular posts from this blog

Logon ki Baten Chup kar Sunne Wala

Jayez aur Halal Mohabbat ka Izhar!

Jismani Dard se Najat ka Nabwi Nuskha