●◗► Insani Mua’ashre mein Mohabbat o Mawaddat, Ijtimaiyat aur ham Aahangi ki targeeb Jitni Deen-e-Islam aur Paighambare Islam (Sallallahu Alaihi Wasallam) ne di hai Dunya ke kisi aur Deen ne nahi di ✿ Nabi Akram Sallallahu Alaihi Wasallam ne Irshad Farmaya: "Jab tum mein se koi Apne Bhai se Mohabbat kare to use Chahiye ke wo Apne bhai ko batade (yani Mohabbat ke Talluq ka izhar kare).” " [Urdu Ref :: Jami` at-Tirmidhi : Vol. 2 :: Hadith 277, 2392] The Messenger of ALLAH (Sallallahu Alaihi Wasallam) said: "When one of you loves his brother,then let him inform him of it." [Jami` at-Tirmidhi :: 2392] ●◗► Izhare Mohabbat se Islam mana nahi karta Albatta Na’Mahram Mard o Aourat ke darmiyan Na jayez Mohabbat, Ikhtelat aur Be hayayi ko Haram qarar deta hai, Insan ko chahiye ke wo Biwi Bacchon, Walidain aur Bahen Bhaiyyon se toot kar Mohabbat kare aur is ka Munasib Andaz mein izhar bhi kare, Izhare Mohabbat ka khaas Tariqah ya Tareekh tai karna Jaise...
Comments
Post a Comment