Miyan Biwi ke Darmiyan Nachaqi Khatam Karwayen!
ALLAH Subhanahu Wa Ta'ala Irshad Farmate Hain: ⇨ "Agar tumhen Miyan Biwi ke darmiyan phoot parne ka Andesha ho to (un ke darmiyan faisla karane ke liye) Aik Munsif Mard ke khandan mein se aur aik Munsif Aourat ke khandan mein se bhej do, Agar wo donon Islah karana chahenge to ALLAH donon ke darmiyan Ittifaq paida farma dega, Beshak ALLAH ko har baat ka Ilm aur har Baat ki khabar hai." (Al-Qur'an, Surah An-Nisa : 35)
◈➲ Munsif – Insaf karne wala.
◈➲ Ittifaq – Mail jol, Ittihad, Mohabbat dosti.
⇨ "If you fear a breach between them twain (the man and his wife), appoint (two) arbitrators, one from his family and the other from her's; if they both wish for peace, ALLAH will cause their reconciliation. Indeed ALLAH is Ever All-Knower, Well-Acquainted with all things." (Qur’an 4:35)
Comments
Post a Comment