Posts

Showing posts from February, 2016

Ruye Zameen par kuch log...

Image
●◗► Ruye Zameen par kuch log Aise bhi hain jo Barf ke uphar Namaz ka Farizah Ba’Jama’at sar Anjam de rahe hain Jab ke kuch Aise log bhi hain jo Thande pani aur Sardi ka bahana bana kar Ba’jama’at Namaz se Gaflat barat rahe hain.

Mayyat ko Qabr Mein Utarne ki Masnoon Dua

Image
It was narrated that Ibn ‘Umar said RadiyAllahu Anhu: “When the deceased was placed in the grave, the Prophet (Sallallahu Alaihi Wasallam) would say: ‘Bismillah, wa ‘ala millati rasul-illah (In the Name of Allah and according to the religion of the Messenger of Allah).’” [Sunan Ibn Majah :: Vol. 1 :: Book 6 :: Hadith 1550] Urdu Transaltion: Hazrat Abdullah bin Umar RadiyAllahu Anhuma farmate hain ke Nabi Akram Sallallahu Alaihi Wasallam ne Irshad Farmaya: “Jab tum apne Murdon ko Qabron mein utaro to ye kaha karo: ‘Bismillah, wa ‘ala millati rasul-illah “Allah ke Naam ke sath aur Allah ke Rasool Sallallahu Alaihi Wasallam ke Deen o Tariqe par.” [Al-Mustadrak alaa al-Sahihain Al-Hakim :: Hadith 1353] [Urdu Ref :: Sunan Ibn Majah :: Vol. 1 :: Hadith 1550] ●◗► Aaj Hamare Mua’ashre mein log Masnoon Dua ke bajaye gair Masnoon Azkar apne tor par zor zor se padhte hain, Allah Subhanahu Wa Ta'ala ham sab ko Sunnaton par Aml ki Toufeeq Marhamat farmaye. (Aameen)

6 Ghanton ke Andar Tobah Karen!

It was reported from Abu Umamah RadiyAllahu Anhu that the Messenger of ALLAH (peace and blessings of ALLAH be upon him) said: “The angel on the left does not write down anything until six hours have passed after a Muslim does a bad deed. If he regrets it and asks ALLAH for forgiveness, he casts it aside [does not write it down], otherwise he writes down one (sayyiah/bad deed).” [Al-Tabaraani] ✦Urdu Translation: Hazrat Abu Umamah RadiyAllahu Anhu se Riwayat hai ke RasoolAllah Sallallahu Alaihi Wasallam ne Irshad Farmaya: “Bayen (left) Taraf wala (yani Gunah likhne par Ma’mur farishta) Gunah karne wale Musalman (ka gunah likhne) se 6 ghante tak Qalam uthaye rakhta hai Agar wo (Gunah gaar shaks is douran) apne kiye par Nadim ho jaye aur ALLAH Ta’ala se Tobah o Astaghfar karle to wo Farishta gunah nahi likhta, agar Tobah na kare to (Aik gunah ke badle) aik Gunah likh leta hai.” [Al-Mu'jam Al-Kabir Al-Tabarani : Hadith 7765] ●◗► Neki likhne par Ma’mur farishta to Neki ...