6 Ghanton ke Andar Tobah Karen!
It was reported from Abu Umamah RadiyAllahu Anhu that the Messenger of ALLAH (peace and blessings of ALLAH be upon him) said: “The angel on the left does not write down anything until six hours have passed after a Muslim does a bad deed. If he regrets it and asks ALLAH for forgiveness, he casts it aside [does not write it down], otherwise he writes down one (sayyiah/bad deed).” [Al-Tabaraani]
✦Urdu Translation: Hazrat Abu Umamah RadiyAllahu Anhu se Riwayat hai ke RasoolAllah Sallallahu Alaihi Wasallam ne Irshad Farmaya: “Bayen (left) Taraf wala (yani Gunah likhne par Ma’mur farishta) Gunah karne wale Musalman (ka gunah likhne) se 6 ghante tak Qalam uthaye rakhta hai Agar wo (Gunah gaar shaks is douran) apne kiye par Nadim ho jaye aur ALLAH Ta’ala se Tobah o Astaghfar karle to wo Farishta gunah nahi likhta, agar Tobah na kare to (Aik gunah ke badle) aik Gunah likh leta hai.”
[Al-Mu'jam Al-Kabir Al-Tabarani : Hadith 7765]
●◗► Neki likhne par Ma’mur farishta to Neki foran likh leta hai, Jab ke Gunah likhne par Ma’mur farishta 6 ghante tak Gunah ki FIR darj nahi karta aur Musalsal intezar karta hai, ALLAH Subhanahu Wa Ta'ala ki is Mohlat se agar ham Faidah na uthayen to bari Mahrumi aur Bad’Naseebi ki baat hai.
Comments
Post a Comment