ALLAH ka har Faisla, Hamare Haq Mein Behtar
● Kabhi ALLAH hamen bimar karta hai ta ke ham apne Wujood ki Behtar dekh bhaal shuru karden.
● Kabhi ALLAH hamen dukh aur takleef deta hai ta ke ham Mazboot ho jayen.
● Kabhi ALLAH hamen nakaam karta hai ta ke ham mein Aajizi paida ho aur ham Mutakabbir na banen.
● Kabhi ALLHA hamen gareeb kar deta hai ta ke ham Gareeb ka dukh dard samajh saken.
● Kabhi ALLAH ham se koi cheez wapas le leta hai ta ke ham apne paas Maojood chizon ki Qadar o Qimat janen.
● Kabhi ALLAH hamen nuqsan pohnchata hai ta ke ham apni Galtiyon se seekh kar bade Nuqsan se bach saken.
'Hamen Pokhta Yaqeen hona chahiye ke Allah jo Faisla bhi kare wo Hamare Haq mein Behtar hai.'
Comments
Post a Comment